mahakte reshmi bistar pe TuTa kanch bikhra hai
mulaem narm takiye mein basi hai khurduri KHushbu
nashili nind ke TukDe hain kuDe-dan ki zinat
likhi hain qurmuzi pardon pe na-manus tahriren
sunahre phul-danon mein saji hain ajnabi aankhen
ye sab kaise hua aur kyun hua
kis KHwab se puchhun
main kya sochun
meri sochen mere apne lahu mein Dub jati hain
hai koi zaKHm aisa jo musalsal KHun ugalta hai
lahu ki dhaar girti hai
KHayal-o-KHwab ke upar
Nazm
Yaqin se bahar bikhra sach
Hamida Shahin