mahina bhar sar ke baal na kaTwaun to mujhe kya
dekhne walon ko wahshat hone lagti hai
har hafte hathon aur pairon ke naKHun na lun to
mahsus hota hai jaanwar banta ja raha hun
subh shawe na banaun to ghar se nikalte jhijak aati hai
Thahariye zara main dekh lun bahar ye shor kaisa hai
are mali lawn mein ghas ki machine pher raha tha
aap to jaante hain ghas na kaTe to machchhar jaan nahin chhoDte
waise kabhi aap ne takistanon mein angur ki TunD-munD muDhiyon ko dekha hai
yaqin hi nahin aata ki un se nai shaKHen phuTengi
jo patton aur guchchhon se lad jaengi
abhi main ne gulab ke paudon ki apne hathon se kanT-chhanT ki hai
meri aalim fazil biwi ki jaan nikalti ja rahi thi
jab main bedardi se qainchi chala raha tha
lekin main baghbanon ki aulad hun
dukh to mujhe bhi hota hai
pale hue paudon aur daraKHton ko chhangte hue
lekin phul aur phal to us ke baghair yun samjhe rang hi nahin late
na wo husn na wo maza na wo bohtat
aap bhi sochte honge punjab ka muqaddama laDte laDte
main hajjamon aur maliyon ki wakalat karne to nahin chal paDa
sada si baat hai ki insanon aur paudon ki tarash-KHarash hoti rahni chahiye
lekin kya baal kaTwa liye jaen naKHun le liye jaen shawe kar li jae
to kaam KHatm ho jata hai
kya insan sirf jism ka nam hai ya
jazbaat KHayalat KHwahishat aur azaem bhi hamara hissa hain
to kya jism ke sath un ki tarash-KHarash bhi zaruri hai
shayad jazbaat aur KHayalat ki tarash-KHarash hi ko tahzib kahte hain
shayad KHwahishatan aur azaem ki nok-palak sanwarne hi se tamaddun ne janm liya hai
warna to insan gharaz-mandana huquq hi ke chakkar se nahin nikalta
aur zimmadariyon ke idrak-o-ehsas ki naubat hi nahin aati
muaf kijiye ye sari chori-chakari bad-kari hawas-kari
ye sari luT-mar jal-sazi haram-zadgi be-sabri na-shukr-guzari
ye sara jhuT fareb lalach fitna fasad
jazbaat-o-KHayalat aur KHwahishat-o-azaim ki hajamat na banane hi ka to natija hai
janab jazbaat ko tamiz aur KHayalat ko aKHlaq na sikhaya jae
KHwahishat aur azaem ke munh par insaniyat ki lagam na di jae
to phir wahi kuchh hota hai jo aaj hamare yahan ho raha hai
aur ye kah kar ziyaada din guzara nahin ho sakta ki
is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein
aap hansenge main jab bhi ye misra paDhta hun
is tarah se mujhe ustura yaad aa jata hai
qainchiyan yaad aa jati hain hajamat yaad aa jati hai
kuchh bhi ho main to samajhta hun ki qaumi sath par hamari hajamat bahut zaruri ho gai hai
hamare sirf baal aur naKHun hi nahin baDh gae
hum zahir hi mein nahin baatin mein bhi jaanwar bante ja rahe hain
jaanwariyat hamare dil-o-dimagh mein utar gai hai
ab to andar bahar hajamat ki zarurat hai
bhai bulao kisi nashtar-ba-dast hajjam ko jo hajamat banae aur fasd khole hamari
lekin ek anar aur sau bimar
ek akela hajjam aur chaudah karoD insan
ye to hum sab ko KHud hi aaine ke samne baiTh kar hajamat banai aur fasd kholni paDegi apni
to bhaiyo aur bahno
mere pyare ham-watano
aaj se qaumi sath par hamara yak-nikati agenda kya Thahra
boliye sab boliye pure zor se boliye
hajamat
hajamat
apni apni hajamat
Nazm
Yak-nikati agenda
Mohammad Haneef Rame