اردو हिंदी
Yahan se shahr ko dekho | Shaahi Shayari
yahan se shahr ko dekho

Nazm

Yahan se shahr ko dekho

Faiz Ahmad Faiz

;

yahan se shahr ko dekho to halqa-dar-halqa
khinchi hai jel ki surat har ek samt fasil

har ek rahguzar gardish-e-asiran hai
na sang-e-mil na manzil na muKHlisi ki sabil

jo koi tez chale rah to puchhta hai KHayal
ki Tokne koi lalkar kyun nahin aai

jo koi hath hilae to wahm ko hai sawal
koi chhanak koi jhankar kyun nahin aai

yahan se shahr ko dekho to sari KHilqat mein
na koi sahab-e-tamkin na koi wali-e-hosh

har ek mard-e-jawan mujrim-e-rasan-ba-gulu
har ek hasina-e-rana, kaniz-e-halqa-bagosh

jo sae dur charaghon ke gird larzan hain
na jaane mahfil-e-gham hai ki bazm-e-jam-o-subu

jo rang har dar-o-diwar par pareshan hain
yahan se kuchh nahin khulta ye phul hain ki lahu