pakiza Thahrai jaane wali
diwaron par likkha hai
yahan likhna mana hai
wahin likh dete hain log
be-sharmi se galiyan
ba-huda nare
farsuda mazhabi ahkaamat
main likh dun wahan
wo lafz
jo mere andar mar rahe hain
par likh nahin sakta
diwaren rokti hain mujhe
rokti hain
mere andar
diwaron ko girne se
ek jeneral kahta hai
ya awam ka numainda kahta hai
chup raho
giDgiDate hue bolo
main likh dun
meri man ko meri mahbuba hona chahiye tha
aur mere bap ko
meri aankhon se dur
likh dun
saffak sabab
apne dil mein daraD paDne ka
jo ek din aap hi aap
khanDar mein badal jaega
main likh dun
wo sab
jo yahan likhna mana hai!
Nazm
Yahan likhna mana hai
Ahmad Azad