zamane mein koi burai nahin hai
faqat ek tasalsul ka jhula rawan hai
ye main kah raha hun
main koi burai nahin hun zamana nahin hun tasalsul ka jhula nahin hun
mujhe kya KHabar kya burai mein hai kya zamane mein hai aur phir main to ye bhi kahunga
ki jo shai akeli rahe us ki manzil fana hi fana hai
burai bhalai zamana tasalsul ye baaten baqa ke gharane se aai hui hain
mujhe to kisi bhi gharane se koi talluq nahin hai
main hun ek aur main akela hun ek ajnabi hun
ye basti ye jangal ye bahte hue raste aur dariya
ye parbat achanak nigahon mein aati hui koi unchi imarat
ye ujDe hue maqbare aur marg-e-musalsal ki surat mujawir
ye hanste hue nanhe bachche ye gaDi se Takra ke marta hua ek andha musafir
hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal
ye kya hain
yahi to zamana hai ye ek tasalsul ka jhula rawan hai
ye main kah raha hun
ye basti ye jangal ye raste ye dariya ye parbat imarat mujawir musafir
hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal
ye sab kuchh ye har shai mere hi gharane se aai hui hai
zamana hun main mere hi dam se an-miT tasalsul ka jhula rawan hai
magar mujh mein koi burai nahin hai
ye kaise kahun main
ki mujh mein fana aur baqa donon aa kar mile hain
Nazm
Yagangat
Meeraji