اردو हिंदी
Yas o umid | Shaahi Shayari
yas o umid

Nazm

Yas o umid

Urooj Qadri

;

yas
morid-e-zulm hun aamaj-gah-e-tir hun main

taKHta-e-mashq-e-sitam qaidi-e-zanjir hun main
saikDon dushman-e-saffak lage hain pichhe

kitne hi nawak-e-bedad ka naKHchir hun main
shaukat-e-rafta ki taKHil bhi ab mushkil hai

mahfil-e-dosh ki miTti hui taswir hun main
kis qadar apni tabahi pe karun nauha-zani

muKHtasar ye hai ki phuTi hui taqdir hun main
ham-nashin sail-e-hawadis mein baha jata hun

sarhad-e-maut se nazdik hua jata hun
ummid

hai ghalat nauha-e-gham-gauhar shahwar hai tu
fil-haqiqat baDi izzat ka saza-war hai tu

maujzan hai teri rag rag mein shahidon ka lahu
badr o ahzab ki jangon ka alam-dar hai tu

jurat-e-KHalid-e-jaan-baz mili hai tujh ko
waris-e-zor-e-shah-e-haidar-e-karrar hai tu

kaun kahta hai tujhe jins dani hech-mabarz
tu bahut kuchh hai agar muslim-e-bedar hai tu

tu agar chahe nikal sakti hai sahra mein bhi rah
sai-e-paiham ke liye koh-e-giran ek par-e-kah

kaun kahta hai ki saman se wabasta hai
teri izzat tere iman se wabasta hai

sab se awwal tujhe lazim hai KHuda ki pahchan
aadmiyat isi irfan se wabasta hai

KHud gira paDta hai lazim hai KHuda ki pahchan
teri waqat bhi teri aan se wabasta hai

is se kaT jae to kauDi bhi nahin mol tera
qadr o qimat teri quran se wabasta hai

tu hai shaki ki zamana ne tujhe khoya hai
aur zamane ko shikayat hai ki tu soya hai