main sochta hun ek nazm likhun
lekin is mein kya baat kahun
ek baat mein bhi sau baaten hain
kahin jiten hain kahin maten hain
dil kahta hai main sunta hun
man-mane phul yun chunta hun
jab mat ho mujh ko chup na rahun
aur jit jo ho darrana kahun
pal ke pal mein ek nazm likhun
lekin is mein kya baat kahun
jab yun uljhan baDh jati hai
tab dhyan ki dewi aati hai
aksar to wo chup hi rahti hai
kahti hai to itna kahti hai
kyun sochte ho ek nazm likho
kyun apne dil ki baat kaho
behtar to yahi hai chup hi raho
lekin phir soch ye aati hai
jab naddi bahti jati hai
aur apni anant kahani mein
yun be-dhyani mein rawani mein
mana har moD pe muDti hai
par ji ki kah ke guzarti hai
sar par aai sah jati hai
aur munh aai kah jati hai
dharti ke sine pe chaDhti hai
aur aage hi aage baDhti hai
yun main bhi dil ki baat kahun
ji mein aae to nazm likhun
chahe ek baat mein sau baaten
jiten le aaen ya maten
chahe koi baat bane na bane
chahe sukh hon ya dukh apne
chahe koi mujh se aa ke kahe
kyun bol uThe kyun chup na rahe
chahe main kah kar chup hi rahun
main sochta hun ek nazm likhun
lekin is mein kya baat kahun
Nazm
Yani
Meeraji