apne aap se laDte laDte ek zamana bit gaya
ab main apne jism ke bikhre TukDon ke ambar pe baiTha
soch raha hun
mera in se kya rishta hai
in ka aapas mein kya rishta hai
kaun hun main
aur kis talwar se main ne apne jism ke TukDe kaTe hain
ab main kya hun
aur ab mujh ko kya karna hai
main ne kya tamir kiya tha
chhoTi chhoTi yaadon ki zanjir se
main ne apne ang ang ko bandh liya tha
apne gird purane aur nae lafzon ki diwaren chun li thin
ab mera in diwaron se
in zanjiron se
koi rishta baqi hai to itna hai
jaise apni rihai ka mujh ko yaqin na ho
main diwana hun
ab mujh se itna faiz karo yaro
main ne jitne sher likhe hain mere sar pe de maro
Nazm
Yaadon ki zanjiren
Shahzad Ahmad