ahd-e-mazi ke jharokon se chali aati hain
muskuraati hui yaaden meri
gungunati hui yaaden meri
aur mahsus ye hota hai mujhe
jaise banjar si zamin
qatra-e-abr-e-guhar-bar se shadab bani
jaise sahra mein bhaTakte hue ek rahi ko
chashma-e-ab mila
jaise pamal tamannaen tarashshoh pa kar
phir tar-o-taza huin
jaise tarsida kali
muskurahaT se dil-awez bane
ek lamhe ke liye
sina-e-sozan mera
shabnami yaad se muskata hai
ek lamhe ke liye
kapkapati hui sahmi hui hasti mein
unhen yaadon ki halawat mein sama jati hai
yahi yaaden to meri zist ka sarmaya hain
muskuraati hui yaaden meri
gungunati hui yaaden meri
Nazm
Yaaden
Zareena Sani