khiDki ke parde sarka kar
kamre mein aa jati hain
aapas mein chohlen karti hain
meri hansi uDati hain
mez pe ek taswir hai us ko
dekh ke shor machati hain
main ghabra ke bhag uThta hun
wo mil kar chillati hain
kamre se un ki aawazen
dur dur tak aati hain
dur dur tak aati hain
aur patthar barsati hain
Nazm
Yaaden
Mohammad Alvi