suhani raat mein dilkash nazare yaad aate hain
nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
usi surat se din Dhalta hai suraj Dub jata hai
usi surat se shabnam mein har ek zarra nahata hai
taDap jata hun main jab dil zara taskin pata hai
usi andaz se mujh ko sahaare yaad aate hain
nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
akele main tumhaari yaad se bach kar kahan jaun?
lab-e-KHamosh ki fariyaad se bach kar kahan jaun?
tumhin kah do dil-e-nashad se bach kar kahan jaun?
kinayon ko bhulata hun ishaare yaad aate hain
nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
nigahon mein abhi tak hai usi din raat ka manzar
tumhaare sath mein bite hue lamhat ka manzar
machalte, muskuraate, jagte, jazbaat ka manzar
tasawwur-afrin wo shah-pare yaad aate hain
nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
meri nazron se ojhal ab maqam-e-johd-e-hasti hai
na wo ehsas-e-ishrat hai, na wo anjum-parasti hai
akela jaan kar mujh ko meri tanhai Dasti hai
mujhe bite hue lamhat sare yaad aate hain
nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
tamannaon ke mele ab nahin lagte kabhi dil mein
kashish baqi rahi koi na rahon mein, na manzil mein
dhuan sa ab nazar aata hai mujh ko mah-e-kaamil mein
tumhaare sath jitne din guzare yaad aate hain
nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
gila is ka nahin kyun tum ne mujh se apna munh moDa
nahin qabu tha apne dil pe paiman-e-wafa toDa
tumhaari yaad ne lekin na kyun ab tak mujhe chhoDa
ye kyun paiham mujhe paiman tumhaare yaad aate hain
nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
Nazm
Yaad
Shaukat Pardesi