ek ujla sa kanpta dhabba
zehn ki sath par luDhakta hua
naqsh, jis mein kabhi simaT aai
lakh yaadon ki mast angDai
dagh jis ki jabin-e-gham pe kabhi
ho gaya aa ke larza-bar-andam
kisi bhule hue habib ka nam
zaKHm jis ki tapakti tah se kabhi
ras paDe dukhte ghunghaT ulTa ke
kisi chehre ke saikDon KHake
aks an-dekha aks tairta hai
aansuon ki rawaniyon mein rawan
ruh ki shorishon mein saya-kunan
zehn ki sath par luDhakta hua
Nazm
Yaad
Majeed Amjad