ab bhi darwaza roz khulta hai
rasta mera tak raha hai koi
mere ghar ke udas manzar par
koi shai ab bhi muskuraati hai
meri man ke safed aanchal ki
ThanDi ThanDi hawaen roti hain
fasla aur kitni tanhai
aaj kaTti nahin hain ye raaten
aasman mujh pe tanz karta hai
chand taron mein hoti hain baaten
ai watan tere murgh-zaron mein
mere bachpan ke KHwab raqsan hain
mujh se chhuT kar bhi wadiyan teri
kya usi tarah se ghazal-KHwan hain
Nazm
Yaad
Khalilur Rahman Azmi