zehn ki imarat mein
yaad ek daricha hai
aur is dariche ke
gird dur tak phaila
waqt ka samundar hai
waqt ke samundar mein
din mahine lahren hain
tund-o-tez lahron par
tairte hue lamhe
KHush-gulu parinde hain
yaad ek daricha hai
jab kabhi akele mein
dil udas hota hai
hum isi dariche se
par jhank lete hain
waqt ke samundar mein
KHush-gawar lamhon ki
ranga-rang taswiren
jaan-dar lagti hain
shandar lagti hain
aur zinda rahne ka
ek jawaz banti hain
Nazm
Yaad ek daricha hai
Ali Asghar Abbas