jangal ke gahre sae
nazdik aa rahe hain
wahshi parinde har su
siTi baja rahe hain
kis moD par ruka hun
itni KHabar nahin hai
kya aur is ke aage
ab rah-guzar nahin hai
kyun KHud ko ajnabi sa
main aaj lag raha hun
ek dhundle aaine se
pahchan mangta hun
duniya se thak gaya hun
mahsus ho raha hai
har ek shai se ji ab
mayus ho raha hai
phir bachcha ban gaya tum
jhula jhula rahi ho
yun lag raha hai jaise
lori suna rahi ho
baadal mein tum ko pa kar
daman bhigo raha hu
be-wajh ye nami hai
be-baat ro raha hun
kya lambi hichkiyon se
mujh ko bula rahi ho
sach sach batao amman
kyun yaad aa rahi ho
Nazm
Yaad
Fay Seen Ejaz