in shandar mahlon ko kya karun main le kar
lagta nahin hai mera dil aah in mein dam bhar
in mein nahin hai meri dil-bastagi ka manzar
dil kash kahin hai is se ujDa hua mera ghar
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
hain barkaten utarti jis ghar mein aasman se
pyara hai aah wo ghar mere liye jahan se
ai ghar siwa hai dil-kash to rauza-e-jinan se
han tu aziz-tar hai mujh ko hazar jaan se
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
aawara-e-watan hun gum-karda-KHanuman hun
sahra mein muddaton se mein gard-e-karwan hun
ro ro ke aah karta misl-e-jaras fughan hun
ghurbat mein main ragaDta barson se eDiyan hun
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
tha chhoTi chhoTi chiDiyon ko main jahan bulata
aur git tha KHushi ke maqdam mein un ke gata
wo ghar mein thin chahakti main ghar mein gungunata
tanen sunati thin wo main loriyan sunata
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
Nazm
Yaad-e-watan
Shakir Merathi