chalo aao
hum apne bank ke
baDhte asason ke tanasub se
nai building banaen
aur is tamir mein
hum wo wisael kaam mein laen
jo pas-manda mumalik ke
sabhi nadar jismon mein
zaKHira hain
chalo aao
hum in jismon ki sari haDDiyon ko
KHub kuTen
phir in ko pis ke gara banaen
hum in ke gosh ke TukDe jala kar
plastar bhi banaen aur Damar bhi
magar sare amal mein
wo taffun kam se kam ho jo
kisi bhi chiz ke jalne se chou-tarfa
faza mein phuT paDta hai
chalo aao
hum in jismon se
ek ek rag bhi khinchen
aur ragon ko wiring ke kaam mein laen
phir in jismon ke sab aaza nichoDen
aur lahu se is imarat ka
chamakta rang aur roghan banaen
imarat jab mukammal ho chuke to
inhin jismon se kuchh ke maghz le kar
inhen sarmae ki hiddat se pighlaen
asase aur baDh jaen
Nazm
World-bank
Haris Khaleeq