main jab bhi ghar pe aati hun
bahut si chizen lati hun
aur un chizon mein akasr
KHud ko rakh kar bhul jati hun
pata us waqt chalta hai
ki jab takiye pe rakhne ko
mujhe sar hi nahin milta
mayassar KHwab kaise hon
ki aankhen hi nahin hotin
thakan se chur hathon ki
main jab jab siskiyan sunti hun
apni kirchiyan chunti hun
pahlu mein kahin dil bhi nahin milta
mujhe bas panw milte hain jo panw panw chalte
mujhe le jate hain ek aise kamre mein
jahan par koi mera jism oDhe so raha hai
ye kis ne suiyan si ruh mein meri chubho di hain
main KHud ko toD deti hun wahin par chhoD deti hun
so bas chup chap ghar ki siDhiyon par baiTh jati hun
hawaen bain kartin jab barabar se guzarti hain
pakaD kar hath un ka pas hi apne biThati hun
nae kuchh dip raushan kar ke KHud bhi muskuraati hun
zara si ek aurat hun
diyon ki lau mein lekin jagmagati hun
Nazm
Working lady
Almas Shabi