aadhi raat hui
aur pura chand nikal aaya
sote mein
honT chir ke
us ke dant baDhe
aur naKHun nikle
tez nukile baDe baDe!
phir sare badan par
baal hi baal ug aae!
ganw se bahar
jangal mein
bheDiye mil ke chillae!
wo apne bistar se uTh kar
khiDki kud gaya!
pas ke ghar mein
sote mein koi bachcha chaunk uTha!
dur gali ke nukkaD par
ek kutta bhaunk uTha!
phir dur
bahut hi dur kahin
ek chiKH sunai di!
phir us ke KHali bistar mein
ek lash dikhai di!
phir baadal ghir aae
aur sara manzar Dub gaya!!
suraj ne aa kar dekha to
KHali bistar chamak raha tha
gahri nind mein
wo apne bistar se niche luDhak gaya tha!!
Nazm
Wolf-main
Mohammad Alvi