koi hai
koi baghdad ki fariyaad sunta hai
koi hoga jise aawaz aati ho
kisi dushman ke Tapon ki
dhamakon ki
iraqi kokh ko yun raundte hain
tank dushman ke
ki zaKHm KHun thukne lage baghdadi badan ke
furaat-o-dajla ke pani ko kis ne KHak kar Dala
ki dushman ne meri jannat ko bhi napak kar Dala
alf-laila shahzadi ke kapDe phaD Dale hain
farangi ne mere bachpan ke qisse phaD Dale hain
badan jalte hue bachchon ki ye bujhti hui aankhen
iraqi aasman se sar uTha kar bas yahi puchhen
ababilen utarti kyun nahin dikhtin zaminon par
hamare dushmanon ke sard sinon par
wo bachche jaante kab hain
ababilen shahr se dur apne ghonslon mein
sair ho kar nind mein gum hain
wo bachche jaante kab hain
ababilen ababilen nahin hain
main aur tum hain
wo bachche jaante kab hain
ki un ke KHun ke qatre hamari sarhadon tak
aate aate sukh jate hain
hamari had hai aur sarhad bhi hai hakim ke hukm se
KHuda ka hukm hai chhoTa yahan zalim ke hukm se
sharabon mein Dubo di hain mere hakim ne shamshiren
jila di hain sabhi aaba ki taswiren
musalmanon ki taqdiren
mere bachcho
mere baghdad ke sine pe paDe adh-mare bachcho
koi isa na aaega masihai koi le kar
tumhaari hum se jo ummid hai
wo be-samar hai
hamari apni zamin hai
hamara apna bhi ghar hai
tumhaari aas andhi hai tumhaara KHwab kala hai
hamare daur ki mariyam ne isa mar Dala hai
Nazm
Weapons of mas Destruction
Ali Imran