baadal ke pardon se
tahdar kuhron mein Duba hua
nur lipTa hua
subh ki awwalin dudhiya chhanw mein ek jhalak
aasmanon ki wusat ki
rim-jhim Tapakti hui
jhil ki pur-sukun sath par tairti
yun laga jaise meri pahunch mein yahin aa gai
sath-e-jaan se uThi ye dua
us hasin lamha-e-sahar-agin main KHushiyon se bhar de
mere dil ki gahraiyon ko
to aawaz aai ki daman baDha
aur jab dil ko wa kar diya main ne
tab apni kam-maigi pe bahut gham hua
Nazm
Wusaten
Abrarul Hasan