gulabi daur mein
wo apne fan ka shahzada tha
faza-e-ariz-o-chashm-o-lab-o-gesu ka shaidai
wo uryan
nim-uryan jism ki qaus-e-quzah
un ka tassur
un ki bijli
apni taswiron mein bharta tha
hasinon ke dilon mein wo tha
KHud bhi un pe marta tha
use us daur mein
izzat mili
daulat mili lekin
dil-e-ruman-parwar mein
koi shoala sa bhi mahsus karta tha!
2
musawwir hi ke nate
us ka shash-pahlu tasawwur
ek shoala tha
ki jis ne fan ka wo pichhla tasawwur KHak kar Dala
wo taswiron mein
tajridi tasawwur zindagani ka
baDi KHubi se bharta tha
dikhai dene wala ek naya sangit deta tha
3
wo janib-dar tha
aur saf kahta tha
ki jab insaniyat
tahzib
aur aala-tarin qadren
ghiri hon saKHt KHatron mein
to ek fankar par bhi ye batana farz hota hai
ki wo kis ki taraf hai
fan ka us se kya taqaza hai
4
pikaso mar gaya
ye sog hai lekin
pikaso ab bhi zinda hai
wo apne shah-karon mein
usi andaz se khoya hua hai
aur kahta hai:
main zinda hun
dilon ke dard ko
bechainiyon ko
iztiraاbiyon
aur aahon ko
kahin ek manzil-e-zinda se pahle maut aati hai
Nazm
Wo zinda hai
Salam Machhli shahri

