bahut dinon se
wo shaKH-e-mahtab kaT chuki hai
ki jis pe tum ne giraft-e-wada ki reshmi shaal ke sitare saja diye the
bahut dinon se
wo gard-e-ehsas chhaT chuki hai
ki jis ke zarron pe tum ne
palkon ki jhaalron ke tamam nilam luTa diye the
aur ab to yun hai ki jaise
lab-basta hijraton ka har ek lamha
tawil sadiyon ko oDh kar sans le raha hai
aur ab to yun hai ki jaise tum ne
pahaD raaton ko
meri andhi ujaD aankhon mein
reza reza basa diya hai
ki jaise main ne
figar-dil ka hunar-asasa
kahin chhupa kar bhula diya hai
aur ab to yun hai ki
apni aankhon pe hath rakh kar
mere badan par saje hue aablon se bahta lahu na dekho
mujhe kabhi surKH-ru na dekho
na meri yaadon ke jalte-bujhte nishan kuredo
na mere maqtal ki KHak dekho
aur ab to yun hai ki
apni aankhon ke KHwab
apne darida-daman ke chaak dekho
ki gard-e-ehsas chhaT chuki hai
ki shaKH-e-mahtab kaT chuki hai
Nazm
Wo shaKH-e-mahtab kaT chuki hai
Mohsin Naqvi