nile sayon ki raat thi wo
wo sahil-e-shab pe so gai thi
wo nile sae
hawa ke chehre pe aur badan pe
aur us ki aankhon mein so rahe the
aur us ke honTon pe
surKH KHushbu ki dhup
us shab chamak rahi thi
wo sahil-e-shab wo nile pani
wo aasmanon se surKH patton ki tez barish
wo tez barish badan pe us ke
gulab-mausam ke in dinon mein
wo sahil-e-shab pe so gai thi
wo surKH KHushbu ki tez dhupon mein
kho gai thi

Nazm
Wo sahil-e-shab pe so gai thi
Tabassum Kashmiri