اردو हिंदी
Wo pal ye ghaDi | Shaahi Shayari
wo pal ye ghaDi

Nazm

Wo pal ye ghaDi

Sajida Zaidi

;

salman ke nam
wo pal

jab tumhein kokh se jan ke
ummid-o-imkan ka tara samajh kar

main ne aaghosh mein bhar liya tha
wo pal

surKH kaliyon ko jab
apne sine ki dhaara se sincha tha

aur apni hi tishnagi ka mudawa kiya tha
ek nanhe se chehre ke

nazuk KHadd-o-KHal mein Dub kar
jab meri ruh parwan chaDhne lagi thi

wo pal
jab meri shab guzari ki

mehnat-kashi mein
tumhaari numu ki guhar-bar aasudgi thi

wo pal
rahat-e-maujud-o-imkan

jab meri god mein so gai thi
wo pal

jab meri aatma
aur parmatma

ek madhur rup mein Dhal gae the
mere aangan mein

masum si raushni thi
wo pal

waqt ki rahguzar mein
bahut dur pichhe kahin rah gaya hai

ghubar-e-safar ke dhundlakon mein
nazron se ojhal hua hai

aur ab
jab ki tum aae ho

apne hi ghar mein mehman ban ke
tumhein dur jaana hai

masruf ho
waqt thoDa hai

aage meri zindagi ki Dagar par
saat-e-wapsin muntazir hai

is ghaDi
garche meri ghaDi apni raftar se chal rahi hai

magar
meri aankhon ki sukhi nami

purane kiwaDon ki chaukhaT mein
na jaane kyun

jazb hone lagi hai
aur

is ghar ke diwar-o-dar apni apni jagah chup khaDe hain