agar wo pal mujhe ek bar mil jae to main puchhun
ki ye sauda mere sar mein samaya kis liye tu ne
ye dard-e-la-dawa dil mein jagaya kis liye tu ne
KHirad idrak aql-o-fahm sab begar hon jaise
farasat dur-bini aagahi bekar hon jaise
hawale istiare mashware dushwar hon jaise
dalael falsafe mantiq zehn par bar hon jaise
basirat hoshiyari ilm sab KHamosh taswiren
na koi mashwara achchha na danish-mand tadbiren
musalsal be-kali diwangi hai KHud-faramoshi
faqat ek be-KHudi aaThon pahar pur-kaif mad-hoshi
nazar har shakl mein DhunDe usi dildar ki surat
har ek aawaz jaise sahab-e-awaz ki murat
samaat par nazar par soch par aaseb chhaya hai
har aahaT par tamanna puchhti hai kaun aaya hai
Nazm
Wo pal
Salman Ansari