wo mujh se kahte hain muskura do
hua hai jo kuchh use bhala do
main un se kah dun
ki ab ye mumkin nahin raha hai
wo ranj-e-hasti ki zahr ban kar
mere lahu mein sama chuka hai
mere tasawwur mein bas chuka hai
wo mujh se kahte hain muskura do
hua hai jo kuchh use bhula do
main raat-din ki udhaDpan mein
wo kirchiyan bhi sameT lungi
jo meri aankhon mein chubh rahi hain
jo meri sanson ko Das rahi hain
mujhe yaqin hai ki kanch ka ye hasin dhoka
fareb ka be-karan sarapa
zara si aahaT se gir paDega
wo mujh se kahte hain muskura do
hua hai jo kuchh use bhula do
suno
ye mumkin nahin ruba ab
ki mera dil mera KHush-nazar dil
koi tasalli nahin sunega
koi hawala nahin sunega
main jaanti hun
ye mera wahshi udas dil hai
jo tujh se mujh se alag thalag hai
use miTana nahin hai mumkin
use to jangal ki aas hai ab
talash yaado ki bas hai ab
mujhe to hairat si ho rahi hai
wo mujh se kahte hain muskura do
Nazm
Wo mujhse kahte hain muskura do
Shaista Mufti