jo bar-awar nahin hota
wo lamha kaisa hota hai
jo rang-o-KHusbuon ke aabgine toD deta hai
jo yaadon ki khuli aankhon ko
apne sard hathon ke asar se mund deta hai
jo din ki raushni mein shab ki aamezish se
aisi saaten taKHliq karta hai
jo aasuda hi hoti hain na afsurda hi hoti hain
kabhi hansti kabhi be-tarah roti hain
jo rasta khojti aur manzilon ko bhul jati hain
jo zinda hain na marti hain
jo Darti hain ada-e-waqt se
rukti na chalti hain
fasil-e-be-yaqini par rakhi
shamon ki surat
aas mein bujhti na jalti hain
jo aisi saaten taKHliq karta hai
wo lamha kaisa hota hai
kisi padash ki takmil ka hissa
ki harf-e-katib-e-taqdir hota hai
Nazm
Wo lamha kaisa hota hai
Yasmeen Hamid