اردو हिंदी
Wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain | Shaahi Shayari
wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

Nazm

Wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

Irfan Ahmad mir

;

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain
na koi KHun ka rishta na koi sath sadiyon ka

magar ehsas apnon sa wo anjaane dilate hain
wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

KHafa jab zindagi ho to wo aa ke tham lete hain
rula deti hai jab duniya to aa kar muskuraate hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain
akele raste pe jab main kho jaun to milte hain

safar mushkil ho kitna bhi magar wo sath jate hain
wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain

nazar ke pas hon na hon magar phir bhi tasalli hai
wahi mehman KHwabon ke jo dil ke pas rahte hain

wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain
mujhe masrur karte hain wo lamhe aaj bhi 'irfan'

ki jin mein doston ke sath ke pal yaad aate hain
wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain