jab bhi dil bhar aaya
aankhen chhalkin
tanhai ke ek goshe mein
us ke kandhe pe sar rakh kar
us se dil ki baaten kah kar
ji kuchh to halka hota tha
us ki dil-jui ki ungli
meri palkon se raKHshan gauhar chun chun kar
apni palkon ke dhage mein
piro ke rakh leti thi
ek din sham ke gahre sae
shajar ke zardi mail aansu
qatra qatra bahte bahte
meri aankhon mein dar aae!
bojhal qadmon se chal kar
us ki banhon mein jaana chaha
har goshe mein us ko DhunD ke haar chuki hun
sab aaine toD chuki hun!
Nazm
Wo kahan?
Parvin Sheer