tera koi din nahin
tera koi rup nahin
abu-suifyan ki hinda
is rang-manch mein
teri koi jagah nahin
ajdad ke intiqam mein
tu kahan hai
naslon ki KHun-asham jang mein
tu jalti rahi
kaleja chabane se husain ka KHun bahane tak
zamin-o-asman tujhe malamat karte rahe
bad-baKHt-o-shikast-KHurda
hinda bint-e-atba
tera qabila teri wahshat se pahchana gaya
tera pagal-pan
teri wajh-e-shohrat hai
kisi faisle kisi rae mein tera koi hawala nahin
tujhe wahshi banane wale tere adh mare aslaf
teri kokh zahr-alud kar ke
tujhe be wajud kar ke
zamin par musallat rahe aaseb ban kar
bad-baKHt hinda
jo itna shuur tujhe hota
to samajh pati
jabri nizam raij karne ke liye
har bar kokh barbaad ki gai
Nazm
Wo jo kahin nahin hai
Injila Hamesh