wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
koi bata do un ko
koi bata do un ko
mera chand kaisa dikhta hai
kabhi dekhna punam ki raat mein
ek dhudli dhundli si
chhawi nazar aaegi
jaise koi bachcha man
se lipTa ho
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kahan se
jhuTi taswiren lae hain
kahte hain chand marusthal hain
are main ne to kai raaten
chand ke pani se
pi kar guzar di
ek raat baDh aa gai
chand par
subh gila takiya
main ne dhup mein sukhaya tha
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
chand ki badalti
chandni se kai dil juDe hain
wo chand ki aThkheliyon ko
koi wigyan batate hain
kahte hain ek upgrah hai
are hum to bachpan
se mama kahte hain
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
wo jo sharma ke
pal bhar ke liye
chhup jata hai
use ai chandr par
grahan kahte hain
unhen kya pata
kaise guzarta hun main
amawas ki raaten
bina us ke
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
mujhe lagta kisi
ghalat pate par chale gae the
ai astronaut
aur
chand se hai un ki purani dushmani
is liye sara dosh chand ko dete hain
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
wo jo astronuat
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
Nazm
Wo jo astronaut chand se aae hain
Kamal Upadhyay