اردو हिंदी
Wo | Shaahi Shayari
wo

Nazm

Wo

Jaun Eliya

;

wo kitab-e-husn wo ilm o adab ki taliba
wo mohazzab wo muaddab wo muqaddas rahiba

kis qadar pairaya parwar aur kitni sada-kar
kis qadar sanjida o KHamosh kitni ba-waqar

gesu-e-pur-KHam sawad-e-dosh tak pahunche hue
aur kuchh bikhre hue uljhe hue simTe hue

rang mein us ke azab-e-KHirgi shamil nahin
kaif-e-ehsasat ki afsurdagi shamil nahin

wo mere aate hi us ki nukta-parwar KHamushi
jaise koi hur ban jae yakayak falsafi

mujh pe kya KHud apni fitrat par bhi wo khulti nahin
aisi pur-asrar laDki main ne dekhi hi nahin

duKHtaran-e-shahr ki hoti hai jab mahfil kahin
wo taaruf ke liye aage kabhi baDhti nahin