wo ishq jo hum ko lahiq tha
shab-ha-e-siyah ke daman mein
asrar junun ke khol gaya
bahr-e-maujud ke markaz se
ek mauj-e-talatum-KHez uTThi
ek dard ki lahar uThi dil ke rauzan se
jis mein simaT gae
donon aalam ke ranj o tarab
aur hast-o-bud ke mahwar par
ranj o rahat ham-raqs hue
furqat ke tanha lamhon mein
aabaad thi ek duniya-e-fusun
raftar-e-gham ki mauj-e-rawan
aawara bagule yaadon ke
barish ki maddham bundon ke
sargam ki farawan mausiqi
ashjar ki raqsan shaKHon se
chhanta hua fitrat ka jadu
duniya-e-nashat-o-dard ki lai
andoh o alam ka ek aalam
taKHliq ke larzan sine ke asrar-e-nihan
naghma-bar-lab ye arz o sama
nauha dard-e-dil baatin ki faza
taKHliq jahan ke sar nihan
patte patte ki rangat mein
harf kin ka jadu larzan
sab ek wahdat mein jazb hue
ek wajd aagin ehsas mein
ruh o jism o jaan malbus hue
waqt aur makan ke sirr-e-nihan malbus hue
is ishq se ye asrar khula
hum zinda hain aur rah-e-fana mein jaulan hain
ek roz ye dil bujh jaega
bas nur-e-KHuda rah jaega
wo ishq jo hum ko lahiq tha
asrar-e-wajud o ramz-e-adam sab khol gaya
Nazm
Wo ishq jo hum ko lahiq tha
Sajida Zaidi