main ne kaha ye mulk ek hai
to sab ke liye ek sa ho qanun
to unhonne kaha ki
main firqa-parast ki tarah bolta hun
main ne kaha ki mandir masjid se ziyaada zaruri hai
talim har insan ko aur har peT ko roTi
to unhonne kaha ki
main nastik sa ishwar ko zarurat mein tolta hun
main ne kaha ki tum hum ne chune ho
to hamara wikas karo
na sirf apni tijoriyan bharo
to unhonne kaha ki
main be-wajh raaz kholta hun
main ne kaha sara mulk ek hai
bas kuchh din mein badal denge
mil kar hum sara nizam
wo kuchh nahin bole ab
bas hanste rahe
meri baat aur mere KHayalat par
ab wo sab zor se hans rahe hai
aur mere panw jaise dharti mein dhans rahe hain
main jaanta hun ki wo sare mulk par hans rahe hain
Nazm
Wo hans rahe hai
Madhav Awana