hansti muskuraati hai
na ab khilkhilati hai
wo ghar se bahar jate hue
Dar Dar si jati hai
KHud ko pardon mein chhupati hai
wo bolti kuchh bhi nahin
suna hai
kisi aali gharane ke
kisi achchhe ohde ke
laDke ne
use masal Dala tha
insaf ki adalat mein
kuchh noTon ke badle mein
insaf kuchal Dala tha
us ke majbur baba ne
baqi beTiyon ki KHatir
mujrim muaf kar diya tha
tab hi se
wo bolti kuchh bhi nahin
bas aansu bahati hai
Nazm
Wo bolti kuchh bhi nahin
Zehra Alvi