wo bichhDa hai to yaad aaya
wo aksar mujh se kahta tha
mohabbat wo nahin hai jo ye nasl-e-nau samajhti hai
ye pahron phone par baaten
ye aae din mulaqaten
agar ye sab mohabbat hai
to tuf aisi mohabbat par
mohabbat to mohabbat hai
visal o wasl ki KHwahish se baala-tar
kaha karta
mohabbat qurb ki KHwahish pe aae to samajh lena
hawas ne sar uThaya hai
hawas kya hai
faqat jismon ki pamali faqat tazlil ruhon ki
kaha karta mohabbat aur hoti hai
hawas kuchh aur hoti hai
sau jab bhi qurb ki KHwahish pe aa jae mohabbat to
suno phir der mat karna wahin rasta badal lena
wo bachhDa hai to yaad aaya
Nazm
Wo bichhDa hai to yaad aaya
Misam Ali Aagha