wo baat gai
ab raat
bhari barsat
barasti jhaDi ki Tap-Tap
rag nahin
jo aur lipaT kar sunen
muamme bhed
labon ke phul
machal ke khilen
lahakti aag pe
ThanDi barf
nashile barf
pahron kaTen
ab chand ki chham-chham lahar
chamakte shauq
umaDte sail ka nasha nahin
ki jis ki khoj mein
sukhi ret pe
milon
raat gae tak chalen
ab KHauf
pareshan zulf
dar-o-diwar pe
larzan sae
mein jaise reng raha hai
umr guzar gai jaanan
Nazm
Wo baat
Abrarul Hasan