wo baat agar main KHuda se kahta
main jaanta hun wo sun bhi leta
(jawab dene ki koi miad tai nahin ho
to sirf sunne mein harj kya hai)
main manta hun
jawab wo ek roz deta
pa KHwahishon ne meri samaat ko mo'tabar hi kahan hai rakkha
ye KHwahishen hain ki mere kanon mein rui sa kuchh nihan hai rakha
main sochta hun
wo baat agar main KHuda se kahta
to maslahat ka shikar hoti
fuzul be-e'tibar hoti
main maslahat ka nahin muKHalif
pa jaanta hun kisi bhi shai ke
har ek pahlu pe ghaur hoga
to maslahat ka shikar hogi
talash-e-har-e'tibar be-e'tibar hogi
main chahta hun
ki mashwara bhi karun kisi se
pe aql-e-insan
(aql-e-nsaqis)
har ek pahlu pe ghaur
KHud ek mazhaka hai
yahan se aage jo marhala hai
wo fahm-e-insan se mawara hai
KHayal aata hai akasr akasr
KHalifatul-arz hun
isi sath par jo suljhaun baat ko main
magar KHilafat ko kya wilayat mili hui hai
mazid ye kya awam o ashraf ki himayat mili hui hai
agar nahin to ye juzw-e-afkar kis liye hai
ye fikr-e-be-kar kis liye hai
wo baat yun aham hai
ki mere wajud mein runuma hui hai
wajud ki ek bina hui hai
wo baat mujh se juda nahin hai
wo baat sach hai wo mahz ek marhala nahin hai
wo baat main hun
main KHud ko zae nahin karunga
Nazm
Wo baat
Shahram Sarmadi

