wo bagh mein mera muntazir tha
aur chand tulua ho raha tha
zulf-e-shab-e-wasl khul rahi thi
KHushbu sanson mein ghul rahi thi
aai thi main apne pi se milne
jaise koi gul hawa se khilne
ek umr ke baad main hansi thi
KHud par kitni tawajjoh di thi!
pahna gahra basanti joDa
aur itr-e-suhag mein basaya
aaine mein KHud ko phir kai bar
us ki nazron se main ne dekha
sandal se chamak raha tha matha
chandan se badan mahak raha tha
honTon pe bahut sharir lali
galon pe gulal khelta tha
baalon mein piroe itne moti
taron ka guman ho raha tha
afshan ki lakir mang mein thi
kajal aankhon mein hans raha tha
kanon mein machal rahi thi baali
banhon se lipaT raha tha gajra
aur sare badan se phuTta tha
us ke liye git jo likha tha!
hathon mein liye diye ki thaali
us ke qadmon mein ja ke baiThi
aai thi ki aarti utarun
sare jiwan ko dan kar dun!
dekha mere dewta ne mujh ko
baad is ke zara sa muskuraya
phir mere sunahre thaal par hath
rakkha bhi to ek diya uThaya
aur meri tamam zindagi se
mangi bhi to ek sham mangi
Nazm
Wo bagh mein mera muntazir tha
Parveen Shakir