hayat
ek hairat se phaili hui aankh hai
jis ki palkon ko baham mile
muddaten ho chuki hain
qarnon se yunhi
musalsal KHalaon mein takti chali ja rahi hai
manazir nigalti chali ja rahi hai
kahin dur hairat se phaili hui aankh ke par
chehra hai
be-KHal be-chashm be-ant chehra
chehre ke masum marmar se ruKHsar par
jagmagata hua ashk main hun
hairat se phaili hui aankh ke chaak ko
main rafu kar raha hun
Nazm
Wo aur main
Safdar Raza Safi