اردو हिंदी
Wo aur main | Shaahi Shayari
wo aur main

Nazm

Wo aur main

Khan Mohammad Khaleel

;

jab zamin ke pyase honT
bund bund ko tarse

us ki kokh ne jab bhi
sabz bachche janne ki aarzu mein lab khole

tab shafiq baadal ne
apni jaan ke amrit se

is zamin ke sine mein
qatra qatra ras ghola

be-badan daraDon se
zindagi uga Dali

han ye sab hua lekin
koi aa ke baadal se

sirf is qadar puchhe
teri pyas ka dozaKH

sard hai ki jalta hai