us ko mere KHwabon ka rasta
jaane kis ne dikhaya hai
main jab aadhi raat ko thak kar
apne-ap pe girta hun
wo chupke se aa jati hai
sabz sunahre KHwab liye
narm gulabi hathon se mere baalon ko suljhati hai
dhime suron mein
'faiz' ki nazm sunati hai
main us ko dekhta rahta hun
nind mein jagta rahta hun
aur wo mere bazu par
sar rakh kar so jati hai
sapnon mein kho jati hai
wo KHwab mein hansti rahti hai
main jag ke rota rahta hun
Nazm
Wo aur main
Faheem Shanas Kazmi