us mein kitna gharelu-pan hai us ki sanson mein nur hai aur chhatiyan
dudh se bhari hain us ki raushan siyah aankhon ke palne mein dusra
mard so raha hai, main jis ki sanson ke shor se bar bar uThta
hun dekhta hun to mere nazdik sirf wo hai, siwae
us ke koi nahin hai, wo mere ghar mein hai aur kis darja ajnabi
hai, abhi use uTh ke dur jaana hai jism dhona hai, apne
bachchon ko dekhna hai safai karna hai jhuTe bartan bhi manjhne hain
apne aaqa ke sath phir sari raat marna hai
Nazm
Wo
Atiiqullah