wo apne hath mein duniya ki tahziben uThae aaegi aur gir paDegi
main naqshe ki madad se us ke girne ki KHabar dunga
samundar be-bizaat hai ugal deta hai nili kashtiyon ko
aasman khiDki se bahar phenk deta hai jahazon ko
sitare dekh kar chalte nahin miTTi uDa le jaegi un ko
so ye wo saaten hain jab nahin chalte sitare
aur miTTi phail jati hai
wo apni aastinen dho ke ghar aaegi aur un ko ujale mein sikhaegi
mohabbat ek Dhila lafz hai is ke simaTne ka
so wo to kushtani hai jo nahin nikla safar par aur naqshe ki madad se apne ghar pahuncha
main aankhen band kar lunga
wo lambi rahdari ke sire par aaegi aur gir paDegi
main naqshe ki madad se us ke girne ki KHabar dunga
Nazm
Wo apne hath mein duniya ki tahziben uThae aaegi
Mohammad Anvar Khalid