kis se puchhun wo kya
shaKHs hai jo meri
aarzu ke jharokon mein Thahre hue
sare chehron mein bikhra hua hai magar
KHud abhi apne chehre mein utra nahin
kis se puchhun wo kya
nam hai jo meri
dhaDkanon ke muqaddar mein marqum hai
aur wo kya ajnabi hai jo sadiyon se mere KHayalon ke qarye mein aabaad hai
magar mera surat-shanasa nahin
kis ki aawaz hai!
jo meri ruh mein naghma-parwaz hai
kaun batlaega us nagar ka pata
jis ki miTTi ki KHushbu mere jism ke waste durj hai,
jis ke diwar-o-dar meri be-KHwab aankhon se manus hain
aur jis ko kabhi main ne dekha nahin
na-rasai meri na-rasai miri!
jis ko paya na tha us ko khone ka gham
meri KHwahish ke sine ka nasur hai
kis ko aawaz dun kis ka matam karun
wo abhi apne chehre mein utra nahin
kis se puchhun mera muddaa kaun hai!
na-rasa kaun hai!
Nazm
Wo abhi apne chehre mein utra nahin
Amjad Islam Amjad