wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin
aur kanwal banin aur KHushk huin
koi dekhne aaya
aankhen aan ki aan mein kanwal banin aur KHushk huin
aur daldal phaila simaT gaya
aur raat ki chadar phail gai
koi dekhne aaya
aan ki aan mein daldal phaila simaT gaya
ab hathi dant ke rasiya aaen to aaen
tum ghar ki maili chadar le kar aae the
aur jhaDi mein chiDiyon ke anDe DhunDte the
aur KHush the
aur anDe hath hi hath mein TuT gae
tum roe the
aur rone wale ghar ja kar bhi rote hain
wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin
aur kanwal banin aur KHushk huin
kal barish kaisi tez hui
nit baadal phaile diye jale
main chadar oDh ke baiTh gaya
jo chadar oDh ke baiTh gaya so chadar oDh ke baiTh gaya
phir patthar jaisa din nikla
wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin aur kanwal banin aur KHushk huin
tum jangal ja kar dekhoge
jab patte miTTi mein dab jate hain
miTTi ke ho jate hain
ab patton ka kya rona
aur aankhon ka kya rona
aur daldal ka kya rona
wo hathi dant ke rasiya to aaenge
main kandha dene chala kisi ko
aur kahin ko chal nikla
ab jogi banun ya sher kahun
ab aankhen kanwal banen ya bujh jaen
ab daldal phaile ya simTe
ab daldal ka kya rona
ab aankhon ka kya rona
ab rone walon par rone walon ka kya rona
Nazm
Wo aankhen kanwal banin
Mohammad Anvar Khalid