اردو हिंदी
Visaliya | Shaahi Shayari
visaliya

Nazm

Visaliya

Rafique Khayal

;

dharti sulag rahi thi aakash jal raha tha
be-rang thin fazaen mausam badal raha tha

KHushbu mere badan ko gulzar kar rahi thi
wo kaif-e-be-KHudi mein kaliyan masal raha tha

karwaT badal rahe the arman mere dil ke
jab chandni ka manzar dariya mein Dhal raha tha

jalwon ka raqs main ne msatana-war dekha
bint-e-inab ka jaane dil kyun machal raha tha

aisa bhi ek aalam guzra 'KHayal' mujh par
main us ki justuju mein kanTon pe chal raha tha