sab barishen ho ke tham chuki thin
ruhon mein dhanak utar rahi thi
main KHwab mein baat kar raha tha
wo nind mein pyar kar rahi thi
ahwal hi aur ho rahe the
lazzat mein visal ro rahe the
boson mein dhule-dhulae donon
nashshe mein lipaT ke so rahe the
chhoTa sa hasin sa wo kamra
ek aalam-e-KHwab ho raha tha
KHushbu se gulab ho raha tha
masti se sharab ho raha tha
wo chhanw sa chandni sa bistar
hum rang naha rahe the jis par
yun tha ki hum apni zat ke andar
the apna hi ek aur manzar
sairab mohabbaton ke dhaare
baham the wajud ke kinare
mauzu-e-suKHan, suKHan the sare
aalam hi ajib the hamare
jage wo lahu mein silsile phir
tan man ke wahi the zaiqe phir
tham tham ke baras baras gae phir
patal tak ho gae hare phir
jari tha wo raqs-e-ham-kinari
nikli nai subh ki sawari
aisa laga kaenat sari
is aan to hai faqat hamari
jab chand mera naha ke nikla
main dil ko diya bana ke nikla
kashkol-e-dua uTha ke nikla
shaer tha sada laga ke nikla
dariya wo samundaron se gahre
wo KHwab gulab aise chehre
sab zawiyon ho gae sunahre
aainon mein jab wo aa ke Thahre
Nazm
Visaliya
Obaidullah Aleem