اردو हिंदी
Visal | Shaahi Shayari
visal

Nazm

Visal

Mustafa Zaidi

;

wo nahin thi to dil ek shahr-e-wafa tha jis mein
us ke honTon ke tasawwur se tapish aati thi

us ke inkar pe bhi phul khile rahte the
us ke anfas se bhi shama jali jati thi

din is ummid pe kaTta tha ki din Dhalte hi
us ne kuchh der ko mil lene ki mohlat di hai

ungliyan barq-zada rahti thin jaise us ne
apne ruKHsaron ko chhune ki ijazat di hai

us se ek lamha alag rah ke junun hota tha
ji mein thi us ko na paenge to mar jaenge

wo nahin hai to ye be-nur zamana kya hai
tirgi mein kise DhunDenge kidhar jaenge

phir hua ye ki usi aag ki aisi rau mein
hum to jalte the magar us ka nasheman bhi jala

bijliyan jis ki kanizon mein raha karti thin
dekhne walon ne dekha ki wo KHirman bhi jala

ek zulaiKHa-e-KHud-agah ka daman bhi jala